Monday, April 29, 2013

Random

Jindagi bhi kaise kaise chehre dikhati hai
kuch hi palo mei kisi ko apna kisi ko paraya bana deti hai
kabhi khushi k aansu to kabhi gum mein rula deti hai
kabhi kabhi sab kuch apna lagta hai or kabhi sab kuch paraya sa

jaane kaise kab kaha kis mood par takraya tha main tujhse
wo tera anjaan se chehra lagne laga jaisa tera koi rishta hai mujhse
dhere dhere jaane anjane mein kab kareeb aa gaya tere
tera har gum har khsuhi lagne lage jaise apne ho wo mere

4 mahine ka rishta aisa laga jaise pata nahi kitna purana ho
dosti aisi hui jaise rab ne likha tera mera yaarana ho
har khushi har gum mein tune mujhe main tujhe sabse pehle yaad kiya
ab aisa lagta hai ki haazaro logo k beech mein jaise saaye ne bhi sath chhod diya

wo cafe coffee day mein ghanto baith kar baatein karna
wo office k baad fursat k kuch lamhe jeena
wo calls par ek dusro se sab kuch share karna
wo ek dusre ki pareshaniyo k hal dhundhna
wo ek dusro ko pyar se samjhana
wo tera mujhe bachha bachha kehna
ek dusri ki shaadi ko lekar sad ho jaana
sab kuch bas ab ek yaad ban gaya hai
yaad bhi aisi jisse bhul jaane ka bhi koi kaaran nahi hai
kyunki teri meri dosti thi hi aisi jisme koi condition nahi thi

har musibat mein tune mera maine tera saath diya
itne dikkato k baad bhi tune mujhe or maine tujhe yaad karna band na kiya
jindagi ka tu ek aisa hissa ban gayi jisse main alag nahi kar sakta
tujhe khone ka gum aisa jisse main chah kar bhi dur nahi kar sakta

jindagi k har pal mei tujhe main yaad karta hu
teri wo baatein mulaqatein main yaad karta hu
gum bas ye hi hai ki chah kar bhi tere sath reh na saka
kya pata jindagi ek bar phir karwat le or is gum ko khushi mei badal de...

its just a random thought and not in rhythm...

Aakash Jain


No comments:

Post a Comment