Friday, December 19, 2014

Sawaal

Apne aap se ek sawaal karta hu
Ki main hi kyu

Kya rang birange sapne dekhna koi jurm hai
Dosto ke sath bachpan ke haseen pal bitana kya jurm hai
Phir mai hi kyu

Goliya to dushmano ke liye hoti hai
Mere to sab dost koi dushman nahi
School mein Ram bhi dost or rahim bhi
Phir mai hi kyu

Khuda se sabki salamati ki roz dua karta
Bado ko roz salaam karta
To sabke aankhon mein aansuo ki wajah
Phir mai hi kyu

Maine kya gunaah kiya
Kabhi kisi ka na bura kiya
To mujh par goliya kyu chali
Rang birangi duniya mei khoon ki laali kyu bhari

Ammi abba ki aankhein ab nam hai
Na jaane andar chupe kitne gum hai
Main to chala gaya
Parrrr
Par sawal to yahi hai

Ki main hi kyu……..

Aakash Jain

Thursday, December 18, 2014

Random

Us din phir maa ne taiyaar karke school bheja tha
Kuch armano ka pura hone ka sapna dekha tha
Ungli pakad kar school ke gate tak chhodne aayi thi
Socha tha har roz ki tarah wo wapis lene aayengi
Aur apne laadle ko School se ghar le jayengi 
To har roz ki tarah garam garam rotiya khilate hue mujhe pyaar se sehlayegi
Par par wo din kuch alag tha
Na maa ne taiyaar kiya na chhodne aayi
Class mein bhi mujhe ajeeb se baichani thi
Ghar jakar puchunga Ki maa tu aaj aise kyu ki
Class mein Teacher padha rahi thi
Bachhe har roz ki tarah shor macha rahe the
Ki achanak hi bachho ka shor goliyo ki aawaz mein gum gaya
Dhada dhad goliya chal rahi thi
Ek ek kar ke bachho ki massomiyat wali aawaz tham rahi thi
Class ki Rang birangi duniya sirf laal ho rahi thi
Phir ek goli meri taraf aati dikhi
Isse pehli kuch samajhta aankho mei maa ki aakhri tasweer dikhi
Puchne ka kuch waqt na mila aakhri salaam ka bhi darindo ne mauka na diya
Mere sawal mere saath chale gaye or bas maa ki aankhon mein jindagi bhar ka dard or aansu de gaye…..

Aakash Jain