Wednesday, July 14, 2021

Khud se baat

 socha aaj khud se hi baat kar lo

dusre se to roz hi karta hu

dusro ka to roz hi khayal leta hu

aaj khud se khud ka haal puch lu


bahut samay ho gya 

khud ko pucha hi nhi 

ki khush hu ya dukhi hu

ya phir thak gaya hu 

chalte chalte ya phir sambhalte sambhalte


jawab mila ki yaad aa gyi meri

mai hi to tera humsafar hu

par shayad bhul gye the tum

koi na der aaye durust aaye 


ab thoda apne ko pehchan to lu

do pal sukoon ki saans to lu

ab bas thoda aaram chahiye

bhagti hui zindagi ko viram chahiye


khud ko khud se milwa lu

kai arse hue mile hue


                           ----AĆ kash Jain

Tuesday, July 13, 2021

Random

Itna bhi dard mat do Kisi ko

Ki jab waqt aur karma inteqam Lene Aaye

To tumhari cheenkhen koi shor mei sun bhi na paaye 

Khush raho or rehne do 

Zindagi chhoti hai haske do pal bitane do


                             Aakash Jain










Monday, July 12, 2021

Zindagi

zindagi bhi kya cheez hai

har roz naye rang dikhati hai


par ek baat to hai

roz kuch naya sikha jati hai


                         ----Aakash Jain