Friday, May 25, 2012

A poem written by me for my documentary




Raahgir hai hum apni zindagi mein
na hi aaj ka pata hai na hi kal ka thikanna
nikle hai ek aise safar par
khojte hai jaha hum apni kismat ko har nukkad par
khojte khojte jamuna kinare aa gaye
In chand sikko mein apni kismat ka ek ansh paa gaye
Jamuna Maa ka aanchal hi ab rasta hai
Yahi kismat ki talash ka sahi rasta hai
Chand sikko se hum khushi paa lete hai
khule aasmaan ko apni chaadar
or jamuna k tat ko apna bistar bana lete hai
na hi koi majhab ka bair 
na hi koi unch neech ka vyavahar
jamuna maa hai sabki
isi me hai sabko apni kismat ki talash.....
    
                                               Aakash Jain

No comments:

Post a Comment