Saturday, April 21, 2012

Ek Sawaal......



Kabhi Kabhi dil mein ek sawal aata hai..
ab tak maine jindagi mein kya khoya or kya paaya hai


aaja bhi apne sapno k peeche bhag rha hu
har pal lagta hai ki main apne aap se hi anjaan hu


Jitna samajhta hu ki apne aap ko maine jaan liya
agle pal lagta hain ki main apne aap se hi kitna anjaan hu


Ab tak jindagi mein jitna paaya utna hi khoya 
Na jaane kyu is unsuljhe swaal ki asmanjas mein hu khoya


Is Sawal ka jawab to milta nahi hai
par har pal ek naya sawal ban jaata hai


Peeche mud k dekhta hu ki jo ab tak paaya hai
Wo bhi to ek khwaab tha jisko maine kal mein chaha hai


Jo Khwaab pura na kar paaya
usse mana ki  maine jindagi mein ye khoya hai


Par is sawal k asmanjas mein main bhul hi gaya
aanae wala kal to abhi aana hai
Jiska khwab maine aaj mein sajana hai


Is Sawal ka jawaab to shayad hi mil paya or kabhi mil paayega
ki maine zindagi mein kya khoya or paya or kya paaunga


Bas ye ek sawal sawal hi reh jaayega
Jiska Jawab aankhri saans tak main dhundhta reh jaunga.......

                                                                           ----Aakash Jain

No comments:

Post a Comment