Saturday, January 21, 2012

Aankhein

                              " Aankhein "


Har waqt aankhein kuch kehti hai
kabhi jindagi ka sukoon to kabhi dard kehti hai
hum sochte hai ki hum chhupa sakte hai
par nahi jaante ki aankhein humesha sachh hi bayaan karti hai


Jo bhi dil mein hai wo aankhon mein aa hi jata hai
sach to ye hai ki insaan apne aap se hi sab chupata hai
Dhoka deta hai apne aapko sab jaante hue bhi
sehlata hai apne dil ko har raaz jaante hue bhi


par aankein sab keh jaati hai
dil mein chupi sab baatein keh jaati hai


laakh koshish karta hai gum ko chhupa kar khush rehne ki
par samay k saath aadat daal leta hai gum k sath hi khush rehne ki
par jo in kambakht aankhon ko padh leta hai
wo insaan un aankhon se hi sab bhed pata kar leta hai


aisa nahi hai ki aankhein sirf dil mein chhupa dard hi kehti hai
kabhi kabhi khushi mein bhi apne nayan se tim tim boonde barsati hai
or jab wo boonde barasti hai
to dil mein khushi ki jo umang hai usko bhi aankhein kehti hai

aankhein apne andar waqt ki parchayi  har waqt samet ti hai
or jab kabhi sone k waqt band hoti hai to waqt ko yaadon k roop mein kehti hai
ye aankhein aage waqt bhi dekhti hai, jise door drishti kehti hai
aane wal kal ko bhi ek sunhare sapne ki tarah sajati hai

sapna sachh hota haii to aankhein khushi bayaan karti hai
or nahi hota to dukh ki boondein barsa kar phir aage ki or dekhti hai...


Har waqt aankhein kuch kehti hai
kabhi jindagi ka sukoon to kabhi dard kehti hai


                                                                                -----By Aakash Jain





No comments:

Post a Comment