Saturday, January 3, 2026

3rd Jan

 Saal ka teesra din,,, phir subah 5 baje ka alarm baja par band kar ke soya to utha 9 baje hi... is par kaam karna ab jaruri sa lagta hai jaise pehle 5 baje uthta tha gym jaata tha exercise karta tha wo hi routine wapis lana hai... aaj jo accha hu wo ye ki apni limits ka pata chala... 4 books order ki  ek free ride, 2 sudha murty ki or ek travelogue.... aaj pata laga ki mai chahe to kya nahi kar sakta.... no biscuits, no sugar, read more than 120 pages, 9km ki walk...  mujhe ye pata laga ki agar main chahu to apne aap ko challenge kar sakta hu or kisi aadat ko chhodna mushkil nhi hai mere liye... aaj poora din no instagram jiska addiction ho gya tha.... bas thoda lonely feel hota hai ki mera bhi koi partner hona chahiye...  nayi job honi chahiye... ab wo kab hoga wo to sirf bhagwan jaanta hai... vishwaas hai ki yaha tak lekar aaya to aage bhi le hi jaayega... 

No comments:

Post a Comment