zindagi kitni khubsurat lagti hai na
subah subah ki wo thandi hawa k jhoke k sath
jo palko ko chhokar zindagi ki khoobsurati ka ehsaa karata hai
pakshiyo ki wo chehchahat k saath
jo mann ki shaanti or sukoon ka ehsaas karata hai
wo suraj ki pehli kiran k sath
jo ek nayi shuruat ka ehsaas karata hai
us neele neele aasmaan k sath
jo aadi anant ka ehsaas karata hai
wo behti hui nadi ki khal khal k sath
jo zindagi k bahav ka ehsas dilata hai
wo mandir ki ghantiyo or mantro k uchharan k sath
jo bhagwaan ko dhanyawad karne ka ehsaas dilata hai
wo maa k sparsh k sath
jo suraksha or pyaar ka ehsaas karata hai
wo papa k aashirwaad k sath
jo jindagi mei aage badhna ka bharosa dilata hai
wo doston k kahe ho lafzo k sath
jo hamesha sath hone ka bharosa dilata hai
hamesha bhagte rehte hai humm zindagi ki is daud mein
kuch paane k junoon mein
kuch kar jaane k junoon mein
or un sab mein hum in lamho ki ahmiyat bhul jaate hai
bhul jaate hai ki jindagi kitni khoobsurat hai
kuch na hua to bhagwan ko dosh dete hai
kuch hua to bhagwan ko bhi bhul jaate hai
par aakhri mein yahi lagta hai na ki jindagi kitni khoobsurat hai
kuch haseen lamho k sath......
Random thoughts penned down by Aakash Jain
No comments:
Post a Comment